Monday, 4 October 2010

Raah-e-wafa meiN shayd madaraat

Raah-e-wafa meiN shayd madaraat ho na ho
Apni tarah hi unkay bhi jazbaat ho na ho

SholoN meiN ishq ke yuhiN khamosh mar mito
Kahnay ko umr bhar kahiN koi baat ho na ho

Kuch to hua usay ke mere khat haiN be-jawab
Naa’ma bari ke shahr meiN haalaat ho na ho

Sab jaam us kay naam isee sham pi gaye
Ham hoN, ye bazm ho ke ye raat ho na ho

Hoti hai ashk-e-khoon se sairab ye zameeN
Ab kya khabar ke phir wahi barsaat ho na ho

Guzray haiN roz-o-shab mere jis intezaar meiN
Dast-e-falak ke paas woh khairaat ho na ho

Tanzil unkay saaray sitam ab bhoool jaeeyay
Ba’ad-e-shab-wesaal mulaaqaat ho na ho

Tuesday, 31 August 2010

Shab-e-siyah meiN sitaray

Shab-e-siyah meiN sitaray talash karta hai
Woh shakhs jhootay saharay talash karta hai

ban gayaa khud woh raushni apni
Jo noor-e-haq kay shararay talash karta hai

Bahut azeez hai aazadi-e-samandar bhi
Ye dil magar phir kinaaray talash karta hai

bin kahay baat jis say pahunchay unhay
Woh kuch aisay ishaaray talaash karta hai

Aa kay ham dil jaloN ki basti meiN
Chara-gar dil kay maaray talash karta hai

Chashm-e-jaaN hi nahi rahi jismeiN
Be-wajah kyooN nazaaray talash karta hai

Ishq-e-dereena

Sheesha-e-dil meiN kisi ka aks madhdham ho gaya
Jaanay kaisay be-asar woh ishq-e-paiham ho gaya

Sozish-e-dil ki abhi tak yaad haiN teesaiN hameiN
Kuch hawaa aisi chali har zakhm marham ho gaya

Tha chaman bhi un dinoN furqat meiN apna ghamgusaar
Waqt jab guzra to bas marhoon-e-mausam ho gaya

Shaam se har daagh-e-dil ashk-e-khooN rota raha
Raat jab gahri huyi har daagh shabnam ho gaya

Kuch to aisi baat thi uski nigah-e-naaz meiN
Jo bhi uskay paas pahuncha pal meiN bedam ho gaya

Uski qurbat meiN jisay kuch aur dikhta hi na tha
Uskay jaatay hi yehaN har shakhs mahram ho gaya

Woh raha har anjuman meiN ham se yuNhi be-nayaaz
Ham se hi ahd-e-wafa ka baab qayam ho gaya

Kya bataeiN dil ko aisi ulfatoN meiN kya mila
Reit ka chota sa zarra maah-o-anjum ho gaya

Chaumukhi Tanhaayi

Ek baat samajh meiN aayi hai
Ye chaumukhi tanhaayi hai
Is samt chalooN, us samt chalooN
Jis samt chalooN gahraayii hai

Har shahr hai veeraN veeraN sa
Har shakhs hai hairaN hairaN sa
Har sham hai dhnudli dhundli si
Har shama hai dheemi dheemi si

Is shahr meiN ek saudayii hai
Ye shama jis nay jalayii hai
Ek baat samajh meiN aayi hai
Ye chaumukhi tanhaayi hai

Gul, bootay, saaghar, la’al-o-guhar
Rut, mausam,shayr, shams-o-qamar
But, sang, khuda, shamsheer-r-separ
Haq, raast, saza, zindan-o-zehar

Har rang meiN ek raa’nayii hai
Har raah meiN ek ruswaayi hai
Ek baat samajh meiN aayi hai
Ye chaumukhi tanhaayi hai

Ye rishtay , dost, shanasaayi
Sab apni dhun meiN phirtay haiN
Ye ishq, muhabbat, naaz-o-ada
Sab yuNhi man meiN bastay haiN

Sab naam-o-nasab parchaayi hai
Sab mehr-o-wafaa harjaayi hai
Ek baat samajh meiN aayi hai
Ye chaumukhi tanhaayi hai

Kuch dasht-o-jabal sar karnay haiN
Ek saadha sehraa baqi hai
Hai raah meiN chhotaa daldal bhi
Ek aag ka darya baaqi hai

Is paar na ek shaidaayi hai
Us paar na ek shaidaayi hai
Ek baat samajh meiN aayi hai
Ye chaumukhi tanhaayi hai

Azaadi – 63 saal baad

Kaisi talab hai iski, tishna-laboN se poocho
Ham be-khabar haiN jinko bin-maaNgay mil gayi hai

Mazloom thay kabhi jo zaalim banay hua haiN
Insaaf ki zubaaN phir kaatoN se sil gayi ai

KhwaboN pe khanjaroN se phir vaar hai kisi ke
Zanjeer se zameeN ki buniyaad hil gayi hai

Hai soch par bhi jinki sipah-e-syah muqarrar
Kaisay ye sang-bari ghir unkay dil gayi hai

Phir khoon-e-naujawaaN se hai surkh bagh-e-jannat
Phir tabish-e-hina se har jheel khil gayi hai


Tanzil


Glossary:

Talab: Craving
Tishna-laboN: Thirsty
Be-khabar: Unaware
Mazloom: Victim
Zaalim: Oppressor
Insaaf: Justice
KhwaboN: Dreams
KhanjaroN: Daggers
Vaar: Attack
Zanjeer: Chain
Buniyaad: Foundation
Sipah-e-syah: Black Cammandos
Sang-bari: stone pelting
Khoon-e-naujawaaN: Blood of the young
Surkh: Red
Bagh-e-jannat: Garden of paradise
Tabish-e-hina: The shine of Hina ( Mehndi)

Phir wahi mausam

Phir dabay paaoN wahi mausam hua hai jalwaa-gar
Aur fizaa meiN khauff ki parchhaiyaaN aayiiN nazar
Ab ke dakkan se hawa nafrat ki uththi hai rafeeq
Kaun jaanay kis taraf hai in hawaaoN ka safar

Phir wahi chingaariyaaN uth-ti hui taqreer se
Aur diloN par zehr-paashi nashtar-e-tahreer se
Kuch naye chehray sayaasat ki wahi ochhi besaat
Khel dahshat ka puraana mulk ki taqdeer se

En ki saazish se kaheeN phir bat na jaye ye samaaj
Aur sankat meiN ghirey phir se ye jamhoori mezaaj
Khoon maasoomoN ka dharti par bahaaya jaye phir
Aur bithayaa jaye dil par an-kahay ek bhay ka raaj

Is se pehle ke ta-assub ke ye andhay peshwa
Tang kar deiN ya zameeN ye aasmaaN aur ye hawaa
Chheen le aazadiyaaN afkaar ki , iqraar ki, inkaar ki
Chheen leiN lauh-o-qalam , meri nawa teri nawa

Aao badhkar rok deiN inkay ye ithlaatay qadam
Aur milkar tod deiN nafrat ki taaqat ka bhadam
Ek dafaa phir is zameeN se aye mere ahl-e-watan
Naghma-e-wahdat sunaaeiN is jehaaN ko milkay ham

Tarz-e-Sukhan

Shaayri kaisi ho meri, ho mera tarz-e-sukhan kya
Bahr ho azaad ya phir qaafia ho ham-wazan kya

Soz-o-saaze-e-zindagi ho maqsad-e-ashaar mera
Fikr-e-aalamgeer ho ya kaawish-e-deen-o-watan kya

Bar sar-e-aflak hoN mere takhayyul ki udaanei.n
Sirr-e-takhleeq-e-jahaaN ya raaz-e-qais-o-kohkun kya

Maddiyat ki hawa se maiN bacha looN apna daaman
Garmi-e-shauq-e-junooN ya rahbaana pairhan kya

MausmoN ke rang saare apni nazmoN meiN utaarooN
Shokhi-e-dast-hena ya sabza-e-sarr-o-saman kya

Baazoo-e-qatil jhatak dooN reekhttey ke zor se maiN
Shayraana adl ho ya inqalab-e-jaan-o-tan kya

Phir se raushan ho diloN meiN deen ki shama-e-farozaaN
Ijtehad-e-asr-e-nau ya taqleed-e-andaz-e-kuhan kya

Ho mere ashaar se ahl-e-wafa ki tarjumanee
Ilm ki mauj-e-rawaa.N ya ishq ka deewanapan kya

Hastiy-e-shayar nehaaN hai sher mein alfaaz ban kar
Intashaar-e-boo-e-gul ya nauha-e-murgh-e-chaman kya

My Blog List