Sunday, 20 February 2011

Phir nigaah ho roshan- Ghazal

Phir nigaah ho roshan, phir tera khyaal aaye
Hai giraaN ye tanhaayi, phir shab-e-wisaal aaye


Jaam-e-jam se mit jaaeiN talkhiyaaN zamaane ki
Jab jawaaN ho ra’anayi , jab tera Jamaal aaye


Is tarah to usnay hi saaray rabt today haiN
Aur kaisay baat uththay , aur kya sawaal aaye


Sab pata haiN hamko bhi, sabr-o-shukr ki baateiN
Phir bhi uskay jaanay ka kis qadar malaal aaye


Kuhr meiN chhipa jab se , khwab ka shahar saara
Gardish-e-lahoo jaamid, nafs meiN ubaal aaye


Ek sawaal hai maazi, ek sawaal mustaqbil
Jaanay koi aisay meiN , kaisay mast-haal aaye


Ja-ba-ja saraaboN ke aabju rawaaN Tanzil
Jaanay phir bhi tum kaisay jism-o-jaaN sanbhal aaye



Glossary:

Nigaah: vision, Roshan: illuminated, khyaal: thoughts, giraaN: difficult, shab: night, wisaal: union

tanhayii: loneliness, ra’anayi: Beauty, Jamaal: Beauty

Jaam-e-jam: Cup of Jamsheid filled with elixir of immortality , TalkhiyaaN: Bitterness

Rabt: relationship, sabr-o-shukr: perseverance and thanksgiving, malaal: grief

Kuhr: Fog, Khwab: dream, shahar: city, gardish-e-lahoo: blood circulation, jaamid: frozen

Nafs: temptations, ubaal: boiling, maazi: past, mustaqbil: future, mast-haal: happy with the present

Saraab: mirage, aabju: rivulet, rawaaN: flowing, jism-o-jaaN: body and soul

My Blog List