Showing posts with label Nazm. Show all posts
Showing posts with label Nazm. Show all posts

Monday, 7 March 2011

Benaam shaheedoN ke naam

For Niyamat Ansari and many like him who are killed everyday across the world for daring to speak out the truth.


Ye Jang ruki thi kab

Ye jang to jaari hai

Ye jang hamaari hai



Ye jang hamee’at ki

Insaan ki qeemat ki

Har ahl-e-hawas se hai

Har ahl-e-hakam se hai

Har zuml-o-sitam se hai

Har jhoot se, nafrat se

Auhaam se dahshat se

Har rang ki zulmat se



Ye jang to jaari hai

Ye jang hamaari hai



Is jang se waabista

Har zinda sipahi ki

Shamsheer hai haq-goi

Aqdaar alam uska

Bebaak qalam uska

Bekhauf qadam uska

Har aan , har ek lamha

Aabad bayaabaN meiN

Barbaad khayaabaN meiN



Ye jang to jaari hai

Ye jang hamaari hai



Ye raah nahi aasaN

Har mod pe khatray haiN

Benaami ke teeshay haiN

Aur khoon ke qatray haiN

Bichday huay khwabooN ki

Posheeda kasak ismeiN

Sab kho kar paanay ki

Tabinda tadap ismeiN



Ye jang to jaari hai

Ye jang hamari hai



Woh din bhi aayega

Jab jang khatam hogi

Jab zulmat kam hogi

Benaam shaheedoN ki

Taareekh raqam hogi

Insaan se insaaN ki

Taqseem rukegi jab

Insaan pe insaan ki

Tahkeem rukegi jab



Ye jang to jaari hai

Ye jang hamari hai

Ye jang ruki thi kab

.

Tuesday, 31 August 2010

Ishq-e-dereena

Sheesha-e-dil meiN kisi ka aks madhdham ho gaya
Jaanay kaisay be-asar woh ishq-e-paiham ho gaya

Sozish-e-dil ki abhi tak yaad haiN teesaiN hameiN
Kuch hawaa aisi chali har zakhm marham ho gaya

Tha chaman bhi un dinoN furqat meiN apna ghamgusaar
Waqt jab guzra to bas marhoon-e-mausam ho gaya

Shaam se har daagh-e-dil ashk-e-khooN rota raha
Raat jab gahri huyi har daagh shabnam ho gaya

Kuch to aisi baat thi uski nigah-e-naaz meiN
Jo bhi uskay paas pahuncha pal meiN bedam ho gaya

Uski qurbat meiN jisay kuch aur dikhta hi na tha
Uskay jaatay hi yehaN har shakhs mahram ho gaya

Woh raha har anjuman meiN ham se yuNhi be-nayaaz
Ham se hi ahd-e-wafa ka baab qayam ho gaya

Kya bataeiN dil ko aisi ulfatoN meiN kya mila
Reit ka chota sa zarra maah-o-anjum ho gaya

Chaumukhi Tanhaayi

Ek baat samajh meiN aayi hai
Ye chaumukhi tanhaayi hai
Is samt chalooN, us samt chalooN
Jis samt chalooN gahraayii hai

Har shahr hai veeraN veeraN sa
Har shakhs hai hairaN hairaN sa
Har sham hai dhnudli dhundli si
Har shama hai dheemi dheemi si

Is shahr meiN ek saudayii hai
Ye shama jis nay jalayii hai
Ek baat samajh meiN aayi hai
Ye chaumukhi tanhaayi hai

Gul, bootay, saaghar, la’al-o-guhar
Rut, mausam,shayr, shams-o-qamar
But, sang, khuda, shamsheer-r-separ
Haq, raast, saza, zindan-o-zehar

Har rang meiN ek raa’nayii hai
Har raah meiN ek ruswaayi hai
Ek baat samajh meiN aayi hai
Ye chaumukhi tanhaayi hai

Ye rishtay , dost, shanasaayi
Sab apni dhun meiN phirtay haiN
Ye ishq, muhabbat, naaz-o-ada
Sab yuNhi man meiN bastay haiN

Sab naam-o-nasab parchaayi hai
Sab mehr-o-wafaa harjaayi hai
Ek baat samajh meiN aayi hai
Ye chaumukhi tanhaayi hai

Kuch dasht-o-jabal sar karnay haiN
Ek saadha sehraa baqi hai
Hai raah meiN chhotaa daldal bhi
Ek aag ka darya baaqi hai

Is paar na ek shaidaayi hai
Us paar na ek shaidaayi hai
Ek baat samajh meiN aayi hai
Ye chaumukhi tanhaayi hai

Azaadi – 63 saal baad

Kaisi talab hai iski, tishna-laboN se poocho
Ham be-khabar haiN jinko bin-maaNgay mil gayi hai

Mazloom thay kabhi jo zaalim banay hua haiN
Insaaf ki zubaaN phir kaatoN se sil gayi ai

KhwaboN pe khanjaroN se phir vaar hai kisi ke
Zanjeer se zameeN ki buniyaad hil gayi hai

Hai soch par bhi jinki sipah-e-syah muqarrar
Kaisay ye sang-bari ghir unkay dil gayi hai

Phir khoon-e-naujawaaN se hai surkh bagh-e-jannat
Phir tabish-e-hina se har jheel khil gayi hai


Tanzil


Glossary:

Talab: Craving
Tishna-laboN: Thirsty
Be-khabar: Unaware
Mazloom: Victim
Zaalim: Oppressor
Insaaf: Justice
KhwaboN: Dreams
KhanjaroN: Daggers
Vaar: Attack
Zanjeer: Chain
Buniyaad: Foundation
Sipah-e-syah: Black Cammandos
Sang-bari: stone pelting
Khoon-e-naujawaaN: Blood of the young
Surkh: Red
Bagh-e-jannat: Garden of paradise
Tabish-e-hina: The shine of Hina ( Mehndi)

Phir wahi mausam

Phir dabay paaoN wahi mausam hua hai jalwaa-gar
Aur fizaa meiN khauff ki parchhaiyaaN aayiiN nazar
Ab ke dakkan se hawa nafrat ki uththi hai rafeeq
Kaun jaanay kis taraf hai in hawaaoN ka safar

Phir wahi chingaariyaaN uth-ti hui taqreer se
Aur diloN par zehr-paashi nashtar-e-tahreer se
Kuch naye chehray sayaasat ki wahi ochhi besaat
Khel dahshat ka puraana mulk ki taqdeer se

En ki saazish se kaheeN phir bat na jaye ye samaaj
Aur sankat meiN ghirey phir se ye jamhoori mezaaj
Khoon maasoomoN ka dharti par bahaaya jaye phir
Aur bithayaa jaye dil par an-kahay ek bhay ka raaj

Is se pehle ke ta-assub ke ye andhay peshwa
Tang kar deiN ya zameeN ye aasmaaN aur ye hawaa
Chheen le aazadiyaaN afkaar ki , iqraar ki, inkaar ki
Chheen leiN lauh-o-qalam , meri nawa teri nawa

Aao badhkar rok deiN inkay ye ithlaatay qadam
Aur milkar tod deiN nafrat ki taaqat ka bhadam
Ek dafaa phir is zameeN se aye mere ahl-e-watan
Naghma-e-wahdat sunaaeiN is jehaaN ko milkay ham

Tarz-e-Sukhan

Shaayri kaisi ho meri, ho mera tarz-e-sukhan kya
Bahr ho azaad ya phir qaafia ho ham-wazan kya

Soz-o-saaze-e-zindagi ho maqsad-e-ashaar mera
Fikr-e-aalamgeer ho ya kaawish-e-deen-o-watan kya

Bar sar-e-aflak hoN mere takhayyul ki udaanei.n
Sirr-e-takhleeq-e-jahaaN ya raaz-e-qais-o-kohkun kya

Maddiyat ki hawa se maiN bacha looN apna daaman
Garmi-e-shauq-e-junooN ya rahbaana pairhan kya

MausmoN ke rang saare apni nazmoN meiN utaarooN
Shokhi-e-dast-hena ya sabza-e-sarr-o-saman kya

Baazoo-e-qatil jhatak dooN reekhttey ke zor se maiN
Shayraana adl ho ya inqalab-e-jaan-o-tan kya

Phir se raushan ho diloN meiN deen ki shama-e-farozaaN
Ijtehad-e-asr-e-nau ya taqleed-e-andaz-e-kuhan kya

Ho mere ashaar se ahl-e-wafa ki tarjumanee
Ilm ki mauj-e-rawaa.N ya ishq ka deewanapan kya

Hastiy-e-shayar nehaaN hai sher mein alfaaz ban kar
Intashaar-e-boo-e-gul ya nauha-e-murgh-e-chaman kya

AarzooeiN

AarzooeiN

Najanay kab se ham yuNhi sar-e-bazaar baithay haiN
Hai dil meiN aarzoo jaaN bechne ki jaaN lutanay ki

Nawa-e-shauq se, khoon-e-jigar se, bikhray khwaboN se
Tilism-e-aab-o-gil say door ek duniya basaanay ki

Purani kashtiyaN lay kar, shikastah baadbaaN chun kar
hawaaoN ke nayay rukh par naya bedaa laganay ki

shafaq se rang laya kar , shaam sa khamoshiyaaN lay kar
jigar kay saaray daaghoN ko gul-e-laala bananay ki

har ek taar-e-nafas meiN shola-o-faulaad pighla kar
tan-e-aasaaN ko shamsheer-e- jahaN paima bananay ki

Rumooz-e-ishq kay aab-e-rawaaN meiN ghota zan ho kar
zameeN ki khaak ko auj-e-surayya tak udanay ki

Naya Bazaar

Beshak nigah-e-Qais ko deedar chahiyay
Aur husn-e-Yusufi ko khareedar chahiyay

Bazaar-e-nau-bahaar meiN bikta hai jo bhi bech
Bas bechnay ko taaqat-e-guftaar chahiyay

Ilm-o-hunar khareed kahiN, kar khaiN farokht
Dil beech ke nafay ka talabgaar chahiyay

Ab fikr-e-naqd chhor or lay lay sab udhar
Zan ho, zameen ho kay zar-o-tar chahiyay

Mil jayegaa tujhay bhi muNh maaNga daam yaan
Saudagiri meiN aadat-e-takraar chahiyay

Deen-o-khuda bhi arzaaN hai har taraf yahaN
But chahiyay, kaleesa ke meenar chahiyay

Thi zarq-o-barq ki tujhay is qadar hawas
To kyooN kaha tha chhota sa sansaar chahiyay

Qayal hai mere fan ka naqqad-e-nukta-cheeN
Fankar ko bhi aakhir ek bazaar chahiyay

Ab qeematoN ki fikr na kar jaaN apni bech day
Khoy huaa tujhay agar pindaar chahiyay

Bikta hai dekhiyay kehaaN Tanzil-e-be-ma’aal
Suntay haiN usko seerat-o-kirdaar chahiyay

Nauha-e-gham

Aj shab kuch is tarah har gosha-e-dil hai fegaar
Jaisay har tare-nafas meiN sabt haiN taar-e-fina

Kaisi nahamwaar haiN is shar ki raaheiN na pooch
Kis qadar dushwar hai ek ek qadam rakhan yehaN

Mit-tay jatay haiN nuqoosh-e-paa zameen-e-khyaal se
Reit say athkheliyaaN karti hai bedhangi hawaa

Jisko dekho pa-ba-zanjeer-e-giraft-e-maslihat
Janay kaisay shar meiN phaili ghulami ki waba

kyooN hai arzaaN is qadar masoom insanoN ka khooN
hai ye kamzori ki ya masoomiyat ki hai saza

is tarah phaili hai ab kay bazm meiN begaangi
yaad hai kisko yehaaN ab wada-e-mehr-o-wafa

dil ko rah rah kar bulata hai tilasmaati sarab
dasht ki raanaiyaaN har lamha seti hain sada

koi samjhaya ke kya hai raaz-e-hangaame-hayat
kyoon nahi kuch chara-e-gham be neyaazi ke siwa

My Blog List