Showing posts with label Ghazal. Show all posts
Showing posts with label Ghazal. Show all posts

Thursday, 3 March 2011

Ghazal- Shaam hai koi gham

Shaam hai, koi gham nahi hai kya
Dard-e-dil aaj kam nahi hai kya

Usnay sun kar bhi an-suni kar di
Meri baatoN meiN dam nahi hai kya

Dil hai zinda to hai museebat meiN
Hasrat-e-chashm-e-nam nahi hai kya

Girtay jatay haiN saaray ahl-e-hakam
Zor-e-taygh-e-sitam nahi hai kya

Tum hi ho markaz-e-jahaan-e-wajood
Tum ko aisa waham nahi hai kya

Bik gaye saray bahr-o-dasht-o-jabal
Ab bhi duniya khatam nahi hai kya

Daagh aao saja leiN maathay par
Ahl-e-dil ka alam nahi hai kya

kyooN ho khamosh bazm mein Tanzil
paas uskay qalam nahi hai kya

Glossary:
Shaam: Evening, gham: pain, dard-e-dil: suffering of the heart/longing
An-suni: ignored, dam: strength
Zinda: alive, museebat: trouble,
Hasrat: Yearning, chashm: eyes, nam: tearful/wet, hasrat-e-chashm-e-nam: yearning for pain
Ahl-e-hakam: Tyrants
Zor: strength, taygh- sword, sitam: atrocity , zor-e-taygh-e-sitam: military might
Markaz: centre, jahaan-e-wajood: the world of being, waham:delusion/fallacy
Bahr- Ocean, dasht: forest, jabal: mountain,khatam:end
Daagh: scar,maatha(y): forehead, ahl-e-dil: people of the heart (lovers) alam: flag
Khamosh: silent, bazm: assembly/gathering, qalam:pen

Sunday, 20 February 2011

Phir nigaah ho roshan- Ghazal

Phir nigaah ho roshan, phir tera khyaal aaye
Hai giraaN ye tanhaayi, phir shab-e-wisaal aaye


Jaam-e-jam se mit jaaeiN talkhiyaaN zamaane ki
Jab jawaaN ho ra’anayi , jab tera Jamaal aaye


Is tarah to usnay hi saaray rabt today haiN
Aur kaisay baat uththay , aur kya sawaal aaye


Sab pata haiN hamko bhi, sabr-o-shukr ki baateiN
Phir bhi uskay jaanay ka kis qadar malaal aaye


Kuhr meiN chhipa jab se , khwab ka shahar saara
Gardish-e-lahoo jaamid, nafs meiN ubaal aaye


Ek sawaal hai maazi, ek sawaal mustaqbil
Jaanay koi aisay meiN , kaisay mast-haal aaye


Ja-ba-ja saraaboN ke aabju rawaaN Tanzil
Jaanay phir bhi tum kaisay jism-o-jaaN sanbhal aaye



Glossary:

Nigaah: vision, Roshan: illuminated, khyaal: thoughts, giraaN: difficult, shab: night, wisaal: union

tanhayii: loneliness, ra’anayi: Beauty, Jamaal: Beauty

Jaam-e-jam: Cup of Jamsheid filled with elixir of immortality , TalkhiyaaN: Bitterness

Rabt: relationship, sabr-o-shukr: perseverance and thanksgiving, malaal: grief

Kuhr: Fog, Khwab: dream, shahar: city, gardish-e-lahoo: blood circulation, jaamid: frozen

Nafs: temptations, ubaal: boiling, maazi: past, mustaqbil: future, mast-haal: happy with the present

Saraab: mirage, aabju: rivulet, rawaaN: flowing, jism-o-jaaN: body and soul

Monday, 4 October 2010

Raah-e-wafa meiN shayd madaraat

Raah-e-wafa meiN shayd madaraat ho na ho
Apni tarah hi unkay bhi jazbaat ho na ho

SholoN meiN ishq ke yuhiN khamosh mar mito
Kahnay ko umr bhar kahiN koi baat ho na ho

Kuch to hua usay ke mere khat haiN be-jawab
Naa’ma bari ke shahr meiN haalaat ho na ho

Sab jaam us kay naam isee sham pi gaye
Ham hoN, ye bazm ho ke ye raat ho na ho

Hoti hai ashk-e-khoon se sairab ye zameeN
Ab kya khabar ke phir wahi barsaat ho na ho

Guzray haiN roz-o-shab mere jis intezaar meiN
Dast-e-falak ke paas woh khairaat ho na ho

Tanzil unkay saaray sitam ab bhoool jaeeyay
Ba’ad-e-shab-wesaal mulaaqaat ho na ho

Tuesday, 31 August 2010

Shab-e-siyah meiN sitaray

Shab-e-siyah meiN sitaray talash karta hai
Woh shakhs jhootay saharay talash karta hai

ban gayaa khud woh raushni apni
Jo noor-e-haq kay shararay talash karta hai

Bahut azeez hai aazadi-e-samandar bhi
Ye dil magar phir kinaaray talash karta hai

bin kahay baat jis say pahunchay unhay
Woh kuch aisay ishaaray talaash karta hai

Aa kay ham dil jaloN ki basti meiN
Chara-gar dil kay maaray talash karta hai

Chashm-e-jaaN hi nahi rahi jismeiN
Be-wajah kyooN nazaaray talash karta hai

Kaisay hui tabinda

Kaisay hui tabinda andheroN se saji raat
Tha zikr charaghoN ka, charaghoN se saji raat

Rakhshanda sitaroN pe raha abr ka saaya
Bhatkay huay rahi ki nigahoN se saji raat

Ek umr se mitna tha patengoN ka muqaddar
Mit-tay huay parwaanay ki saansoN se saji raat

Jis shokh ki zulfoN meiN chhipa sham ka sooraj
Us soorat-e-jaanaN ke khyaloN se saji raat

Jal kar hui khakastar har shakh-e-gulistaN
Jaltay huay khwaboN ke shararoN se saji raat

Din gharat-e-duniya, hai giraN rahat-e-giryaa
Tanzil-e-jigar-soz ke ashkoN se saji raat

Kisi ko kya khabar

Kisi ko kya khabar maiN kahaN kahaN se guzra hooN
Sulagtay shahr se jaltay makaN se guzra hooN

Dayar-e-shauq ki raaheiN nahiN hain kuch aasaaN
Na janay kitnay hi aatish-fashaaN se guzra huN

Woh tashnagi hai ke kisi cheez se nahi mit-ti
Mai-e-neshaat se aab-e-rawaaN se guzra huN

Ata hui aaba ko jis dar se deeda-ay-beena
Baghair dakhay ek umr usi asstaaN se guzra huN

Charagh jaltay rahey subh tak rang-e-inbesaat liyay
MaiN be-sabab shab-e- aah-o-fughaaN se guzran huN

Uthaye sar taktay rahay aarzoo meiN chhoonay ki
Gira jo sar par tab us aasmaaN se guzra huN

Bula rahay thhey har gaam par hazar daam-e-hayat
Chupaye lauh-o-qalam la-makaaaN se guzra huN

Phir dil-o-jaan hazeeN

Phir dil-o-jaan hazeeN, sham hai tanhaayi hai
Kisnay seenay meiN mere aag ye sulgayi hai

Rakh gaya kaun ye naghmay meri dahleez taley
Shab-e-dayjor meiN kisko meri yaad aayi hai

Woh jo milta hi nahiN uska gila kissay kareiN
Tum milay ho jo aaNkh ye bhar aayi hai

Usko dhooNdha hai bhadi bheed meiN aksar maiNay
Uske hissay meiN bhi shayd yahi tanhaayi hai

Sham hai, darya-e-shab ka kinara hai abhi
Har qadam dekh ke aagay badi gahraayi hai

Tere khaaboN ka nasheman nahiN ye band makaaN
Bas yehi baat dil-e-bezaar ko samjhaayi hai

Ghar ke benoor dareechoN se utha do parday
Kuch naye rang liye baad-e-saba aayi hai

Arz ye hai ke mile usko bhi dasht-e-JunooN
Log kahtay haiN ke Tanzil bhi saudaayi hai

Hai Baat kya kay

Hai Baat kya kay hawa-e-watan saazgaar nahi
Tan-aasaaN log bahut, dil-e-daaghdaar nahi

Jo dast-e-qatil o ahl-e-hawas ko rok sakei.N
Tamam shahr meiN aisay badah khaar nahi

Baghawato.n ki sadaaeiN haiN gonjte hai.N pahaad
Jo sang-o-khisht muqayyad tHe, be-ekhteyaar nahi

Na koi waada-e-farda, na ishq-e-posheeda
Teri wafaao.n pe ab hamko aitabaar nahi

Ye joo-e-khoo.n, bujha aftaab, ye haqeeqat hain
Mere takhayyul ka koi shaahkaar nahi

Jewaa.n lahoo se hai qaym rangeeni-e-hena-e-chaman
Hai kaun ahl-e-wafa jo sang-saar nahi

Un hi ke dam se hai qaym weqar-e-maikhana
Jo rasm-e-maikashi se kabhi sharmsaar nahi

Hai ismeiN gardish-e-ayyam par hayaat keha.n
Har ek lemha ke jab tera entezaar nahi

Gham-e-hayat ne daali hai.n bandishei.n warna
HameiN to yuN nahi ke kisi se pyaar nahi

Zubaan-e-taan mei.n larzish, dil-e-syaah mei.n yaad
Namaz-e-nyaaz hai yaaro, ye ishtehaar nahi

Ho shama kaisay farozaa.n, hangama ho bapa kaisay
Woh anjuman ke jeha.N zikr-e-yaar nahi

Glossary

Hawa-e-watan: air of my city, saazgaar: suitable, tan aasaa.n – comfort seeking, dil-e-daaghdaar: compassionate heart

Daste-qatil: murderer’s hands, ahl-e-hawas: evil forces, badah khaar: drunkard

Baghaawat: rebellion, sang-o-khisht: stones and pebbles, mugayyad: imprisoned, be-ekteyar: with no authority

Waada-e-farda: promise of tomorrow, ishq-e-posheeda: secret love, aitbaar: belief

Joo-e-khoo.n: river of blood, aaftab: sun, takhayyul: imagination, shaahkaar: materpiece

Jewaa.n lahoo: yong blood, rangeeni: colour, ahl-e-wafa: men of honour, sangassar: stoned

Weqar: pride, maikhana: bar, rasm: tradition, bandagi: submission to God, Sharmsaar: ashamed

Rawaa.n: moving, gardish-e-ayyam: alternation of days, hayat: life)

Gham-e-hayaat: pains of life, bandishei.n: obstacles

Zubaan-e-taan: twisted tongue, larzish: trembling, dil-e-syaah: blackened heart
Neyaaz: humility , ishtehaar: advertisement

Shama: candle, farozaa.n: lit, bapa: happen, anjuman: celebration/party, zikr-e-yaar: talk of the beloved

Ajeeb shor tha

Ajeeb shor tha jisnay mujhay jagaya tha
Andhera khwab tha , chehra nazar na aaya tha

Palat raha tha jo kal kuch puranay waraq
Kisi ka naam kitaboN mein baar baar aaya tha

Haseen waqt tha jab deyar-e-ghair meiN bhi
Tera khayal kabhi taaroN ki sham laaya tha

Hain is qadar pur-painch tere shahr ki raaheiN
Bhatak gaya woh jisnay raasta dikhaya tha

Usi ke dam se hui haaN aam meri ruswayyi
Woh shakhs jisko kabhi raazdaaN banaya tha

Woh log soye haiN bewaqt khawab-e-masti meiN
Payaam jinko kabhi jaagnay ka aaya tha

Tamaam zulm ki buniyaad chand ahl-e-hakam
Na janay kyoon inheiN hamnay khuda banaya tha

Utho jo saath chalo, Tanzil bhi chalay shayd
Bhataktay raastoN nay usko bhi kal bulaaya tha

Shaakh khyaloN meiN

Shaakh khyaloN meiN shajar ho jayegi
Raat KhwaboN mein sehar ho jayegi

Syaah sheeshoN meiN chhipi hai chashm-e-jaaN
Umr chhaoN meiN basar ho jayegi

Zindagi saloN meiN guzri be-nishaN
Maut lamhoN mein khabar ho jayegi

Shokh nazroN meiN bujhe kuch jalte teer
Aag seenoN meiN zahar ho jayegi

Dil sitaroN meiN hua be-abroo
Khak-saaroN meiN qadar ho jayegi

Ashk aankhoN meiN nehaN aur lab khamosh
Aah lafzoN meiN sharar ho jayegi




Shaakh - Branch
Shajar – Tree
Sehar - Dawn
Chashm-e-Jaan Eyes of the soul/beloved
Be-nishaaN Unremarkable
Shokh Naughty
NazroN Eyes
Be-abroo Not respected/ Lowly
Khaak-saar Modest/Humble
Qadar Respect/Value
Ashk Tears
Lab Lips
Aah Grief
Sharar Spark

Thursday, 24 December 2009

Zakhm bhartay bhi nahiN

Zakhm bhartay bhi nahiN nayay zakhm laga deta hai
Jaanay kyooN woh dabay sholoN ko hawaa deta hai

Mera qatil hi yehaaN mulzim bhi hai munsif bhi hai
Zulm badhta hai to bas adl ki meezan jhuka deta jai

Kitna ghamkhwar hai qaid mera, hai kitna ghani
Chheen kar meri zameeN, mujhko amaaN deta hai

Naam mera sar-e-mahfil jab se liya hai usnay
Sang har shakhs yuNhi mujh pe utha deta hai

Jab se waaiz ne sanbhaali hai hukoomat ki kamaaN
Roz ek hukm nayaa ham ko suna deta hai

Woh haseeN shahr jo tahzeeb ka maskan tha kabhi
Chashm-e-pur-khooN se ab ashk baha deta hai

Bas ye ek paikar-e-khaki, zaalim hai kabhi mazloom kabhi
Waqt jaanay kisi kab kaisa banaa deta hai

Hai azal se yehi dastoor ke baaghee ko jehaa.n
Takhta-e-daar kabhi to kabhi shaahi quba deta hai

Glossary
Zakhm: wounds, sholo.n: flames

Qatil: murderer, mulzim: accused, munsif: judge, adl ki meezaan: balance of justice

Ghamkhwaar: compassionate, qaid: leader, ghani: self sufficient, zamee.n: land, amaa.n: shleter

Sar-e-maqtal: in the abattoir, sang: stones, shakhs: person

Waaiz: preacher, hukoomat: government, nezaam: administration, hukm: decree

Hasee.n shahr: beautiful city, tahzeeb ka maskan: abode of culture, chashm-e-pur-khoo.n: blood filled eyes, ashk: tears

Paikar-e-khaki: earthling, zaalim: cruel, mazloom: victim

Azal: beginning of Time, dastoor: norm, baghee: rebel, jehaa.n: world, takhta-e-daar; gallows, shahi quba: royal robe

My Blog List