Sunday, 8 March 2009

Ghazal

Main bahut der bhatakta raha ruswayii mein
Maine pehchana hai khud ko teri sannayi mein

Ye ujale mere khwabo.n ki taqdeer nahi.n
Khwab palte hain mere raat ki tanhai mein

Koi mujhe dhoondhna chahey bhi to kaise dhoondhe
Main chhipa rehta hoon khud apni hi parchhayi mein

Mainne har lamha ek ajab dard hai mahsoos kiya
Teri masoom nigaho.n mein, tere husn ki raanayii mein

Rait se maujo.n ne mitaye hain jo qadmo.n ke nisha.n
Main unhein dhoondhta hoon ab bahr ki gahrayii mein

Manzil-e-shauq-junoo.n inke siwa aur nahi.n
Takhta-e-dar mein, zandan mein, sahrayii mein

No comments:

My Blog List