Kaisay hui tabinda andheroN se saji raat
Tha zikr charaghoN ka, charaghoN se saji raat
Rakhshanda sitaroN pe raha abr ka saaya
Bhatkay huay rahi ki nigahoN se saji raat
Ek umr se mitna tha patengoN ka muqaddar
Mit-tay huay parwaanay ki saansoN se saji raat
Jis shokh ki zulfoN meiN chhipa sham ka sooraj
Us soorat-e-jaanaN ke khyaloN se saji raat
Jal kar hui khakastar har shakh-e-gulistaN
Jaltay huay khwaboN ke shararoN se saji raat
Din gharat-e-duniya, hai giraN rahat-e-giryaa
Tanzil-e-jigar-soz ke ashkoN se saji raat
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment