Tuesday, 31 August 2010

Shaakh khyaloN meiN

Shaakh khyaloN meiN shajar ho jayegi
Raat KhwaboN mein sehar ho jayegi

Syaah sheeshoN meiN chhipi hai chashm-e-jaaN
Umr chhaoN meiN basar ho jayegi

Zindagi saloN meiN guzri be-nishaN
Maut lamhoN mein khabar ho jayegi

Shokh nazroN meiN bujhe kuch jalte teer
Aag seenoN meiN zahar ho jayegi

Dil sitaroN meiN hua be-abroo
Khak-saaroN meiN qadar ho jayegi

Ashk aankhoN meiN nehaN aur lab khamosh
Aah lafzoN meiN sharar ho jayegi




Shaakh - Branch
Shajar – Tree
Sehar - Dawn
Chashm-e-Jaan Eyes of the soul/beloved
Be-nishaaN Unremarkable
Shokh Naughty
NazroN Eyes
Be-abroo Not respected/ Lowly
Khaak-saar Modest/Humble
Qadar Respect/Value
Ashk Tears
Lab Lips
Aah Grief
Sharar Spark

No comments:

My Blog List