Sunday, 8 March 2009

Ghazal

Har ek lamha dil-e-pareshaa.n ko hai just-o-ju teri
Bahut hi jaan-kuna.n hai talaash-e-rang-o-bu teri

Na jaane phir hai kyoo.n weeraa.n dilo.n ka mai-khana
Zer-e-ghalba-e-taigh-e-jafaa hai aatish-e-jam-o-subu teri

Nafs-e-siyah ru hai pashemaa.n guzashta jurmo.n par
Tafseel-e-gunah-e-nau mudda-a hai ru-ba-ru teri

Naya hai daur , nai hai zubaan, naya hai mezaaj
Qadeem tarz-e-bayaa.n se hai labrez guft-o-gu teri

Ghubar-e-dil hai Azmi muntazir baaran-e-rahmat ka
Zah-e-qismat shikasta-e-daure-e-khezaa.n hai aarzoo teri

No comments:

My Blog List