Raat ka jaane kaun pehar hai, subh mein kitni der abhi hai
Ek kali chadar mein lipti, suraj ki tasweer abhi hai
Haath ke bandhan khol diye hain, shayad ab ke chhoot hi jaoo.n
Qaid mein barso.n beet gaye hain, pairo.n mein zanjeer abhi hai
Door kahi.n koyal hai kooki, aur chali hai purwaiyya bhi
Lekin khet keha.n se seechoo.n, dehqa.n ki tadbeer abhi hai
Kitne mausam guzar gaye hain, kitni sadiyaa.n beet gayi.n hain
Ashab-e-kehef bhi soye huye hain, baitha wahee.n qitmeer abhi hai
Amn ki khabrei.n garm hain yaroo.n, sachchayi ki bhi baatei.n hain
Masoomo.n ka khoon zamee.n par, haatho.n mein shamsheer abhi hai
Ishq ki aag ho phir se raushan, dil ho.n munawwar noor-e-khuda se
Maslak ke jhagro.n mein uljhi waaiz ki taqreer abhi hai
Door ufaq ke paar kahei.n ummido.n ke raushan lashkar hain
Par azmi dhundhli dhundhli tere khawabo.n ki taabeer abhi hai
No comments:
Post a Comment