Phir dil-o-jaan hazeeN, sham hai tanhaayi hai
Kisnay seenay meiN mere aag ye sulgayi hai
Rakh gaya kaun ye naghmay meri dahleez taley
Shab-e-dayjor meiN kisko meri yaad aayi hai
Woh jo milta hi nahiN uska gila kissay kareiN
Tum milay ho jo aaNkh ye bhar aayi hai
Usko dhooNdha hai bhadi bheed meiN aksar maiNay
Uske hissay meiN bhi shayd yahi tanhaayi hai
Sham hai, darya-e-shab ka kinara hai abhi
Har qadam dekh ke aagay badi gahraayi hai
Tere khaaboN ka nasheman nahiN ye band makaaN
Bas yehi baat dil-e-bezaar ko samjhaayi hai
Ghar ke benoor dareechoN se utha do parday
Kuch naye rang liye baad-e-saba aayi hai
Arz ye hai ke mile usko bhi dasht-e-JunooN
Log kahtay haiN ke Tanzil bhi saudaayi hai
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment