Tuesday, 31 August 2010

AarzooeiN

AarzooeiN

Najanay kab se ham yuNhi sar-e-bazaar baithay haiN
Hai dil meiN aarzoo jaaN bechne ki jaaN lutanay ki

Nawa-e-shauq se, khoon-e-jigar se, bikhray khwaboN se
Tilism-e-aab-o-gil say door ek duniya basaanay ki

Purani kashtiyaN lay kar, shikastah baadbaaN chun kar
hawaaoN ke nayay rukh par naya bedaa laganay ki

shafaq se rang laya kar , shaam sa khamoshiyaaN lay kar
jigar kay saaray daaghoN ko gul-e-laala bananay ki

har ek taar-e-nafas meiN shola-o-faulaad pighla kar
tan-e-aasaaN ko shamsheer-e- jahaN paima bananay ki

Rumooz-e-ishq kay aab-e-rawaaN meiN ghota zan ho kar
zameeN ki khaak ko auj-e-surayya tak udanay ki

Naya Bazaar

Beshak nigah-e-Qais ko deedar chahiyay
Aur husn-e-Yusufi ko khareedar chahiyay

Bazaar-e-nau-bahaar meiN bikta hai jo bhi bech
Bas bechnay ko taaqat-e-guftaar chahiyay

Ilm-o-hunar khareed kahiN, kar khaiN farokht
Dil beech ke nafay ka talabgaar chahiyay

Ab fikr-e-naqd chhor or lay lay sab udhar
Zan ho, zameen ho kay zar-o-tar chahiyay

Mil jayegaa tujhay bhi muNh maaNga daam yaan
Saudagiri meiN aadat-e-takraar chahiyay

Deen-o-khuda bhi arzaaN hai har taraf yahaN
But chahiyay, kaleesa ke meenar chahiyay

Thi zarq-o-barq ki tujhay is qadar hawas
To kyooN kaha tha chhota sa sansaar chahiyay

Qayal hai mere fan ka naqqad-e-nukta-cheeN
Fankar ko bhi aakhir ek bazaar chahiyay

Ab qeematoN ki fikr na kar jaaN apni bech day
Khoy huaa tujhay agar pindaar chahiyay

Bikta hai dekhiyay kehaaN Tanzil-e-be-ma’aal
Suntay haiN usko seerat-o-kirdaar chahiyay

Nauha-e-gham

Aj shab kuch is tarah har gosha-e-dil hai fegaar
Jaisay har tare-nafas meiN sabt haiN taar-e-fina

Kaisi nahamwaar haiN is shar ki raaheiN na pooch
Kis qadar dushwar hai ek ek qadam rakhan yehaN

Mit-tay jatay haiN nuqoosh-e-paa zameen-e-khyaal se
Reit say athkheliyaaN karti hai bedhangi hawaa

Jisko dekho pa-ba-zanjeer-e-giraft-e-maslihat
Janay kaisay shar meiN phaili ghulami ki waba

kyooN hai arzaaN is qadar masoom insanoN ka khooN
hai ye kamzori ki ya masoomiyat ki hai saza

is tarah phaili hai ab kay bazm meiN begaangi
yaad hai kisko yehaaN ab wada-e-mehr-o-wafa

dil ko rah rah kar bulata hai tilasmaati sarab
dasht ki raanaiyaaN har lamha seti hain sada

koi samjhaya ke kya hai raaz-e-hangaame-hayat
kyoon nahi kuch chara-e-gham be neyaazi ke siwa

Kaisay hui tabinda

Kaisay hui tabinda andheroN se saji raat
Tha zikr charaghoN ka, charaghoN se saji raat

Rakhshanda sitaroN pe raha abr ka saaya
Bhatkay huay rahi ki nigahoN se saji raat

Ek umr se mitna tha patengoN ka muqaddar
Mit-tay huay parwaanay ki saansoN se saji raat

Jis shokh ki zulfoN meiN chhipa sham ka sooraj
Us soorat-e-jaanaN ke khyaloN se saji raat

Jal kar hui khakastar har shakh-e-gulistaN
Jaltay huay khwaboN ke shararoN se saji raat

Din gharat-e-duniya, hai giraN rahat-e-giryaa
Tanzil-e-jigar-soz ke ashkoN se saji raat

Kisi ko kya khabar

Kisi ko kya khabar maiN kahaN kahaN se guzra hooN
Sulagtay shahr se jaltay makaN se guzra hooN

Dayar-e-shauq ki raaheiN nahiN hain kuch aasaaN
Na janay kitnay hi aatish-fashaaN se guzra huN

Woh tashnagi hai ke kisi cheez se nahi mit-ti
Mai-e-neshaat se aab-e-rawaaN se guzra huN

Ata hui aaba ko jis dar se deeda-ay-beena
Baghair dakhay ek umr usi asstaaN se guzra huN

Charagh jaltay rahey subh tak rang-e-inbesaat liyay
MaiN be-sabab shab-e- aah-o-fughaaN se guzran huN

Uthaye sar taktay rahay aarzoo meiN chhoonay ki
Gira jo sar par tab us aasmaaN se guzra huN

Bula rahay thhey har gaam par hazar daam-e-hayat
Chupaye lauh-o-qalam la-makaaaN se guzra huN

Phir dil-o-jaan hazeeN

Phir dil-o-jaan hazeeN, sham hai tanhaayi hai
Kisnay seenay meiN mere aag ye sulgayi hai

Rakh gaya kaun ye naghmay meri dahleez taley
Shab-e-dayjor meiN kisko meri yaad aayi hai

Woh jo milta hi nahiN uska gila kissay kareiN
Tum milay ho jo aaNkh ye bhar aayi hai

Usko dhooNdha hai bhadi bheed meiN aksar maiNay
Uske hissay meiN bhi shayd yahi tanhaayi hai

Sham hai, darya-e-shab ka kinara hai abhi
Har qadam dekh ke aagay badi gahraayi hai

Tere khaaboN ka nasheman nahiN ye band makaaN
Bas yehi baat dil-e-bezaar ko samjhaayi hai

Ghar ke benoor dareechoN se utha do parday
Kuch naye rang liye baad-e-saba aayi hai

Arz ye hai ke mile usko bhi dasht-e-JunooN
Log kahtay haiN ke Tanzil bhi saudaayi hai

Hai Baat kya kay

Hai Baat kya kay hawa-e-watan saazgaar nahi
Tan-aasaaN log bahut, dil-e-daaghdaar nahi

Jo dast-e-qatil o ahl-e-hawas ko rok sakei.N
Tamam shahr meiN aisay badah khaar nahi

Baghawato.n ki sadaaeiN haiN gonjte hai.N pahaad
Jo sang-o-khisht muqayyad tHe, be-ekhteyaar nahi

Na koi waada-e-farda, na ishq-e-posheeda
Teri wafaao.n pe ab hamko aitabaar nahi

Ye joo-e-khoo.n, bujha aftaab, ye haqeeqat hain
Mere takhayyul ka koi shaahkaar nahi

Jewaa.n lahoo se hai qaym rangeeni-e-hena-e-chaman
Hai kaun ahl-e-wafa jo sang-saar nahi

Un hi ke dam se hai qaym weqar-e-maikhana
Jo rasm-e-maikashi se kabhi sharmsaar nahi

Hai ismeiN gardish-e-ayyam par hayaat keha.n
Har ek lemha ke jab tera entezaar nahi

Gham-e-hayat ne daali hai.n bandishei.n warna
HameiN to yuN nahi ke kisi se pyaar nahi

Zubaan-e-taan mei.n larzish, dil-e-syaah mei.n yaad
Namaz-e-nyaaz hai yaaro, ye ishtehaar nahi

Ho shama kaisay farozaa.n, hangama ho bapa kaisay
Woh anjuman ke jeha.N zikr-e-yaar nahi

Glossary

Hawa-e-watan: air of my city, saazgaar: suitable, tan aasaa.n – comfort seeking, dil-e-daaghdaar: compassionate heart

Daste-qatil: murderer’s hands, ahl-e-hawas: evil forces, badah khaar: drunkard

Baghaawat: rebellion, sang-o-khisht: stones and pebbles, mugayyad: imprisoned, be-ekteyar: with no authority

Waada-e-farda: promise of tomorrow, ishq-e-posheeda: secret love, aitbaar: belief

Joo-e-khoo.n: river of blood, aaftab: sun, takhayyul: imagination, shaahkaar: materpiece

Jewaa.n lahoo: yong blood, rangeeni: colour, ahl-e-wafa: men of honour, sangassar: stoned

Weqar: pride, maikhana: bar, rasm: tradition, bandagi: submission to God, Sharmsaar: ashamed

Rawaa.n: moving, gardish-e-ayyam: alternation of days, hayat: life)

Gham-e-hayaat: pains of life, bandishei.n: obstacles

Zubaan-e-taan: twisted tongue, larzish: trembling, dil-e-syaah: blackened heart
Neyaaz: humility , ishtehaar: advertisement

Shama: candle, farozaa.n: lit, bapa: happen, anjuman: celebration/party, zikr-e-yaar: talk of the beloved

My Blog List